Wafa ki aandhiyon me main kho sa gaya hun
Tanhayion ka saathi,Dard ke kistiyon ka Maahi
Kya karun main ALAM main unhen nahin bhul sakta
Mai Ashqon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Khwabon me wo aate ,main aksar hun jaag jaata
Paas baithti hai ROOH unki, Sar sahlati hai O yunhi
Ro padta hun main,chehra unke ghesunwon me chhupa ke
Mai Ashqon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Dard ka EHSAAS jab uthta hain yaar ALAM mujhme
Bechain hoti hain nigaahen,dhundhta hun tanhayi
Hichkiyon ke doure padte,RooH tak bhi bhing jaati
Mai Ashkon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Ladta hun KHUDA se main,Duwaon me yaar aksar
Kyon tune use bulaaya ,kyon chhini honto se mere paani
Phir Samjhaata hun khud ko ,ye khel kismet ka hai saara
Mai to hun hi Ashkon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Dard main kis se baantun , na hai koi qarib mere
Bhar chuki hai KALAM me ALAM khun ki syaahi
Likhta hun main isse,bujhata hun pyaas APNI
Mai Ashkon ka musaafir , bhatka huwa main raahi